Tuesday, November 30, 2010

zindgi ki kalpna -MAA

Bachpan mei jab main sawaar tha ek naav par,
tab meri zindagi ki kalpana thi maa.............................

akela safar tha koi aas pass nahi tha, to sochta
meri bhi aadat ho maa.....................................................

khelta , koodta, girta to dhoondhtaa , pyar ki ek
gudgudahat ho maa.............................................


aur jab kabhi benaam swaad ko chakhtaa to sochta ..
swaad ki ek khushboo ho maa................................................


jab raat mei pohochtaa main apni shaiya par.....
to dekhta thapkiyaan deke mujhko sulaati maa.......

aur jab main apne aap ko kabhi kisi mushkil mei khada paata
to sochta door se kahi mere ko aawaz deti maa...................

jab mai jaata kahin door to apne aap se yeh poochta
kyon yaad aati hai ye maa.........................................

tab mujhe lagta zindagi k har pal mei ......................
yaado ka ek nishaa........... chodti maa.......................

meri zindagi ki kalpana thi maa...............................................................................................

3 comments: