Wednesday, January 6, 2010

HAAL E-DIL

woh phool bankar aaye

meri zindagi mei chaaaye

koi gale shikwe bhi na ho

bus woh har pal muskuraahat le k aaye..........................................

unki aashiqi ne humko is kadar rula diya

manno ek phool is tarah murjha gaya

shayad kam the hum unki mohabbat k shikanje mei

par na jaane ab unki raah mei ye dil sambhala na gaya...............................................

yu do dilon ka milna........................

tootkar phir sambhalna.........................

prem k panchiyo ka woh baadal mei udna..................

aur chadar ki palko mei woh unse baatein karna.................................

ab na jaane woh chaadar kahan kho gayi.......................

unki yaad mei har raat wafaa ho gayai

kiya karte the unse har waqt guftgu..........

par ab na jaane woh shaam meri zindagi mei kahan chhup gayi.............................

jab mujhe hua tha kisi se haale dil

kar na saka main us se apne dil ka izhaar...............................

baras rha tha mere man mei kuch aisa saawan...........

ki maano saawan ki boondo ne mujhse kiya ho pyar..............................

maine un lamho ko humesha sambhaaal kar rakha

har waqt har pal sirf usi ka intizaar kiya..........................

un boondo ne mere man ko behla to diya................

ab na jaane mera mann kis pyar k panne mei kho sa gaya...................

koshish karta tha humesha unk darmiyaan pohochne k...

khoya karta tha humesha uski baaton k palchhin mei.....

usko dekh kar mere dil mei ek kali jaisi muskaan uthti thi

ab mujhe har taraf sirf wahi dikhayi deti thi...............................................

written by-prateek chandra

No comments:

Post a Comment