Wednesday, January 6, 2010

zindagi mil gayi

woh bachpan ki tarang thi

dil mei bhi umang thi

manzil bhi kathin thi

kuch aarzoo bhi thi

kuch mushkilein bhi thi


aashao mein laher si thi

kuch paane ki aas bhi thi

dil mei bhi ek chah si thi

us jazbe mei ek alag si pehchaan bhi thi...........




maine un aashao ko paa to liya , par jo pana tha use kho bhi diya

dilo k chah ki ummedon ko utaar to diya...........................................

par wahi jazbaa ab naa jaane kahan chala gaya..................................


manzilon ko pana itna aasan nahi tha

har raaste mei ek ajeeb sa mod tha

mushkilo ka saamna bhi suljha na tha

aur aarzooo ko poora karna bhi naamumkin sa tha....................................................


par na jaane us aashaon ki boondo mei mujhe phir se chamak si dikhi........

pata nahi khoyi hui cheez achanak mujhe kaise mili

dil mei ek leher si uthi.....................................................................................

ki naa jaane mujhe us jazbe mei ek alag si jhalak si dikhi.................


ab manzil aasan hoti gayi

raasta bhi seedha mil gaya

mushkilo ka pahad meri gadi k pahiye se hat sa gaya

aur aarzuon ko maine aassaani se paa bhi liya............................

zindagi aisi meri chalti rahi, kaarwaan badta gaya

aur ab main apni khushiyon k saath saari baatein bhool gaya.........


zindgi meri chalti rahi, kaarwaan badta gaya.....................................................



written by .......prateek chandra




2 comments: